ek guzarish

shikasta hun magar daulat bhi hai hasil hui hum ko
guzare sath jo pal qadr us ki ho nahin kis ko

bane sarmaya hain wo zindagi ka pyar se rakhna
khudara yaaden mat lena

yahi yaaden hain le jaengi hum ko aakhri dam tak
na koi ham-safar hoga na jaega koi ghar tak

ye ghar ehsas ka hoga mera ehsas mat lena
khudara yaaden mat lena

hai kheli pyar ki bazi na jita main na tum haari
lagaegi ye duniya zarb apne dam se hi kari

ye tai hai zakhm mangega koi marham laga dena
khudara yaaden mat lena

mile hum ittifaqan the magar rahen lagin yaksan
kabhi dushwariyan apni kabhi manzil rahi pinhan

ye hota rahta hai aksar jo ruthe dil mana lena
khudara yaaden mat lena

ye hathon ki lakiren baz aaengi kahan dilbar
inhen to bair hai hum se karam-farma raqibon par

rahega khel qismat ka use hai khel mein lena
khudara yaaden mat lena

mujhe hai ye yaqin paoge tum apni nai manzil
main tadpun ya karun girya nahin hoga koi hasil

hata kar mujh ko raste se qadam aage badha lena
khudara yaaden mat lena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close