bas ek izhaar hazaron raaten jaga sakta hai be-shumar shamen mohabbat ki sirf ek lamhe ko dan ki jati hain aur kabhi kabhi har jit ana ke karb se bojhal ho kar pasheman rahti hai umr-e-rawan ka hasil is ek jumud ko dhutkarne ki khwahish ka nam hai jo judai ke khauf se dhadkanon ko mayassar rahta hai dekha gaya hai apni zat ke pujari bhi waqt aane par mohabbat ki bhent chadhte hain jangal mein bani ek kutiya us ki ek umda misal hai sari umr is ek tawaqquf ki tashrih mein guzar sakti hai jo kisi ne kisi se kuchh kahte hue ek lamhe ko kiya tha bas ek izhaar hazaron raaten jaga sakta hai aur kabhi kabhi ek hi mausam sadiyon thahar sakta hai