masarrat ke us lamha-e-be-karan mein ki hum donon lete hue ghas par nile aakash ko dekhte the tumhein yaad hoga ki tum ne kaha tha khushi shadmani ki kitni badi aur hasin saltanat mere zer-e-nagin hai ye makhmal sa toshak-numa sabza hawa ka ye kaif-e-khumarin chamakti hui dhup ke garm paiwast bose falak ki farakhi fazaon ka ye mehrbana rawayya aur in sab se badh kar tumhaari mohabbat ka sar-shaar-o-pur-shor ehsas khudaya masarrat ka ye lamha-e-be-karan mujh ko pagal na kar de magar aaj jab hum wahin apne manus goshe mein pinhan usi ghas takhte pe lete hue nile aakash ko dekhte hain to mahsus hota hai jaise zamin sirf kante ugati hai chamakti hui dhup par tir hi tir hain aasman ek patthar ki sil ki tarah sine par bojh hai hawaon se dam ghut raha hai khushi shadmani ki wo saltanat lut chuki hai aur hum donon dehli se bhage hue do mughal shahzade kisi ajnabi ghair-maruf basti ki kohna sarae mein be-khwab karwat badalte bas is tak mein hain ki kab aankh jhapke aur hum apne sathi ke sine mein khanjar utaren