wo abnormal nahin tha sirf us ko normal banne ki hasrat thi kai khanon mein us ki zindagi batne lagi thi wo apni koshish-e-na-mo'tabar se tang aa kar nim-jaan ho kar ek khane mein panah lene laga tha bani aamat-gah-e-tir-e-nafrat shakhsiyat us ki use bhi khud se nafrat ho chuki thi magar is nafrat-e-manus ki takrar se us ne durusht o na-muwafiq zindagi se sulh kar li thi yahi tha kisa-e-akhlaq us ka gharibi ne sharafat chhin li thi aur us ki shakhsiyat ke pairahan mein guhar-baron ke badle sang-reze jad diye the wo abnormal nahin tha magar ab us mein khud ko normal karne ka yara bhi nahin tha use ab ye gawara bhi nahin tha gali-kuchon ki sari gandagi ka tirgi ka wo ab haqdar waris ban chuka tha