gudde miyan ki shadi har ek samt gunje hue qahqahe hansi dil-lagi zamzame chahchahe zamin muskura aasman khub jhum ki baqi nagar mein hai shadi ki dhum yahan mehman aur wahan mehman jidhar dekhiye aur jahan mehman gharaz mehman aae hain be-shumar ki muddat se is din ka tha intizar nausha banane ki rasm wo gudde miyan ghar bulae gae bitha kar wo nausha banae gae hatheli pe mehndi rachai gai wo nausha ko achkan pahnai gai wo ganw ka mali 'atiq' aa gaya wo sarson ke phulon ka sahra bandha har ek rasm se jab faraghat hui to mirchon ke phulon ki baddhi padi wo ham-joliyon mein laga qahqaha marasan jo ban kar uthin 'hashima' marasan bhi dholak bajaane lagi khushi ke tarane sunane lagi marasan ko munh manga haq jab mila ba-mushkil marasan se pichha chhuta baraat ki rawangi wo nausha miyan pahne gote ka haar chale ek meindhe pe ho kar sawar chhana-chhan chhana-chhan baraati chale patili ke dhakne bajate hue wo 'annu' gawayya bhi gata hua fazaon mein tanen udata hua nai zindagani mubarak rahe mubarak ye shadi mubarak rahe baraat dulhan ke makan pahunch chuki ab nikah ka waqt hai 'qamar' hain wakil aur 'aqila' gawah 'surayya' ki gudiya ka dekho byah wo 'raziya' ko qazi banaya gaya wo nausha ko mahfil mein laya gaya wo qazi waraq ek ulatne lage baraati sab ek ja simatne lage qazi ji nikah padhate hain musammat-e-gul dukhtar-e-shaikh 'khar' ba-mahr-e-muajjal bayasi hazar gulistan ka moti samundar ka phul kaho bhai gudde ye shadi qubul chhohaaron ki taqsim padha kar uthe jaise qazi nikah kisi ne chhohaaron ki de di salah chhohaaron ki thaali lutai gai shakar bhi maze le ke khai gai kisi ne chhohaaron se topi bhari shakar bhi kahin khub phanki gai magar ek sahab kamand-e-hawa kahen kis se apna ajab majra ye har chand bachpan ke hushiyar the chhohaaron ki luttas pe tayyar the magar bhid mein aise kuchh ye dabe ki har panw ke niche kuchle gae pata-pat chhohaare baraste rahe magar ye bichaare taraste rahe koi nak par koi sar par laga magar un ke munh tak na koi gaya shakar aankh aur kan mein ghus gai bichaare ki puri hi durgat bani natija ye sab jald-bazi ka tha ki in ka maza kirkira ho gaya dulhan ki rukhsati wo chhota sa ek box laya gaya miyana jise tha banaya gaya sawari ye dulhan ki thi aa gai wo baithi dulhan wo hui rukhsati kahaar apne kandhe badalte chale miyane pe dulha ki dulhan liye kudum-dhum kudum-dhum chali phir baraat lagi gunjne gane baje se raat anar aur chhachhundar chhutate hue nichhawar ke paise lutate hue sahar hote hote makan aa gae dulhan le ke gudde miyan aa gae baraat wapas aa kar yahi mehmanon mein hai guftugu ki dulhan hai be-shak badi khub-ru saliqe ke sasural wale bhi hain dikhawa nahin mal wale bhi hain ye sardi ki subh aur sardi ki sham magar qabil-e-dad har intizam ye bartan ye kapde ye kursi ye mez mila hai bahut khubsurat jahez sada phir wo 'annu' ki aane lagi fazaon mein masti lutane lagi nai zindagani mubarak rahe mubarak ye shadi mubarak rahe