aasman par garm suraj ke bhayanak qahqahe daudti thin zahr lahren sans khul kar kaun le aag ke dariya rawan sab shahrahen raste jal rahi thin dhup ki barish mein sari khetiyan sar uthae zard-ru sukhi nukili jhadiyan aur un ke darmiyan nachti thin be-haya kam-zarf nangi dainen chikh bad-ruhen sunen kya tai kiya chupke rahen be-zabani ki wasatat se kahen jod kar dast-e-sawal ai khuda-e-zul-jalal khatm tujh par har kamal sa’aten phaila rahi hain maut ki nindon ka jal jagti jiti magar ek teri zat roz-e-raushan ho ki raat ek faqat tujh ko sabaat kaun dega masiwa tere najat abr ban kar saya kar de sabz kar de khetiyan aa hamari soch mein aa tu hamare hath ho ja tu zaban khaliq-e-arz-o-sama narm mitti ki rida sar se hatae dekhti hain konplen palken uthae ab kisanon ka tasawwur chhu raha hai baaliyan muskura aankhen mila sharmae hain ghar-waliyan saj rahi hain thaaliyan baj rahi hain taliyan hans rahi hain ga rahi hain saliyan ab du'aen ho gai hain mithi khatti galiyan aasman par ai khuda tera jalal aur zamin meri hui gahwara-e-amn-o-aman pak bad-ruhon se hai mera jahan