khamosh fazaon ka wo pur-kaif nazara wo nur-e-sahar aur wo ganga ka kinara lahron ki kashakash mein wo pani ki rawani maujon ke talatum mein wo bahta hua dhaara ek chadar-e-abi pe zamurrad ki thi jhaalar yun sabze se pur-zeb tha dariya ka kinara us waqt mein aa kar kisi mahwash ka nahana wallah ki firdaus-e-nazar ka wo nazara peshani pe tapka tha ki ek naqsh-e-dil-ara ya husn ki qismat ka chamakta tha sitara wo husn ki taswir wo khubi ka muraqqa zahid bhi jo dekhe na rahe zabt ka yara jo uzw tha wo husn ke sanche mein dhala tha thi us pe wo sarmast jawani sitam-ara wo husn ke dariya ki thi ek mahi-e-be-tab chhinton se wafa ke jise khaliq ne nikhaara uthte the qadam bar-e-nazar se ba-takalluf go chashm-e-tamasha ko na tha did ka yara aanchal ko sanbhaale hue andaz se aai karne lagi aa kar lab-e-dariya ka nazara har samt jo padti thin nigahen mutawahhish dil pa gaya mera jo nazar ka tha ishaara ye dekh ke main ho gaya sahil se zara dur aur baith gaya bazu ka wan le ke sahaara us mah ne har samt phir ek bar nazar ki jab dekha ki sunsan hai dariya ka kinara lete hue angdai kiya zulfon ko barham aur naz se pani mein qadam us ne utara uthti hui maujon mein talatum hua barpa soi hui lahron ne bhi sar apna ubhaara qadmon ko jamae hue aape ko sanbhaale maujon se baham khel rahi thi wo dil-ara pani mein tha us waqt wo rangini ka aalam goya hai mai-e-nab ka bahta hua dhaara kis tarah wo dariya se nahae hui nikli aage nahin 'qaisar' lab-e-izhaar ko yara bikhri hui zulfon se wo girte hue qatre tute koi jis tarah sitare pe sitara de saqi-e-mehwash ki nahin zabt ka yara mahrumi-e-rindan tujhe kyunkar hai gawara soe bhi ye mai-khwar to le le ke tera nam chaunke jo kabhi khwab se tujh ko hi pukara tujh ko teri be-tab nigahon ki qasam hai meri hi tarah dekh le mujh ko bhi khudara meri hi nigahon ne hasin tujh ko banaya meri hi mohabbat ne tera husn nikhaara