dard-e-dil so bhi chuka dhal bhi chuka wasl ka chand anjum-e-subh khila khatm hua shab ka safar tir kirnon ke chale zakhm hue phir gahre lag gai laila-e-shab ko bhi sitaron ki nazar jal bujhe pyar ki khush-rang tamanna ke charagh phir sulagne laga har sans mein aahon ka dhuan phir tasawwur ke jazire ki faza hai maghmum phir dar-o-baam pe chhaya hai udasi ka saman dhul gai raat ke mathe ki damakti bindiya tiliyan nur ki khwabida nigahon mein chubhin phir rule khak mein shabnam ke larazte moti yun bujhi shamen bahaaron ki ki dekhi na gain fasl-e-gul haar gai daur-e-khizan jit gaya aa gaya ahd-e-sitam ahd-e-wafa bit gaya dil gaya dil se bujhi husn-e-shagufta ki nazar khun-e-zulmat se labrez hua jam-e-sahar