tu kaun hai ri tu kaun hai ri tu kaun hai bata kin khwabon se tu bichhdi hai khushbu ki tarah jo bikhri hai kis karan mujh se mili hai tu kis karan mujh se bichhdegi kab bichhdegi kyon bichhdegi kis rut ki aawara ye pawan meri rahon mein raqs kare meri soch ka aanchal odh ke jo sanson ki agan mein chamak bhare kis git kanwal ki jhil hai tu kis nile aangan ki hai dhanak kis git ke chhandon ki hai dulhan jo meri ghazal mein rang bhare wo rang alag hai rangon se wo rang aakash ke rangon mein mujh ko na mila main khoj chuka wo rang to tera apna hai jo titli phul kali se juda jo duniya ke rangon se juda shayad tu meri in baaton par mere in sabhi sawalon par khamosh rahe kuchh bhi na kahe lekin ye teri khamoshi bhi jo kuchh na kahe aur sab kah de phir bhi mujhe kahna ye tum se tu kaun hai ri tu kya hai bata kin khwabon se tu bichhdi hai kis dal ki komal kali hai tu khushbu ki tarah jo bikhri hai kis karan mujh se mili hai tu