sabza o barg o lala o sarw-o-saman ko kya hua sara chaman udas hai hae chaman ko kya hua ek sukut har taraf hosh-ruba o haul-nak khuld-e-watan ke pasban khuld-e-watan ko kya hua raqs-e-tarab kidhar gaya naghma-taraaz kya hue ghamza-o-naz kya hue ishwa o fan ko kya hua jis ki nawa-e-dil-sitan zakhma-e-saz-e-shauq thi koi batao us but-e-ghuncha-dahan ko kya hua chashmak-e-dam-ba-dam nahin mashq-e-khiram-o-ram nahin mere ghazal kya hue mere khutan ko kya hua chhai hai kyun fasurdagi aalam-e-husn-o-ishq par aaj wo nal kidhar gae aaj daman ko kya hua aankhon mein khauf o yas hai chehra udas udas hai asr-e-rawan ki laila-e-burqa-fagan ko kya hua aah khirad kidhar gai aah junun ne kya kiya aah shabab-e-khugar-dar-o-rasan ko kya hua koi batae azmat-e-khak-e-watan kahan hai ab koi batae ghairat-e-ahl-e-watan ko kya hua koh wahi daman wahi dasht wahi chaman wahi phir ye 'majaz' jazba-e-hubb-e-watan ko kya hua