to jab sat sau aathwin raat aai to kahne lagi shaharzad: ai jawan-bakht shiraaz mein ek rahta tha nai wo nai to tha hi magar us ko bakhsha tha qudrat ne ek aur nadir giran-tar hunar bhi ki jab bhi kisi mard-e-dana ka zehn-e-rasa zang-aluda hone ko aata to nai ko ja kar dikhata ki nai dimaghon ka mashhur mahir tha wo kasa-e-sar se un ko alag kar ke in ki sab aalaishen pak kar ke phir apni jagah par lagane ke fan mein tha kaamil khuda ka ye karna hua ek din is ki dukan se iran ka ek wazir-e-kuhan-sal guzra aur is ne chaha ki wo bhi zara apne uljhe hue zehn ki az sar-e-nau safai kara le kiya kasa-e-sar ko nai ne khali abhi wo use saf karne laga tha ki nagah aa kar kaha ek khwaja-sara ne: main bheja gaya hun janab-e-wazarat-e-panah ko bulane aur is par sarasima ho kar jo uttha wazir ek dam rah gaya pas dallak ke maghz us ka wo be-maghz sar le ke darbar-e-sultan mein pahuncha magar dusre roz is ne jo nai se aa kar taqaza kiya to wo kahne laga: haif kal shab padosi ki billi kisi rauzan-e-dar se ghus kar janab-e-wazarat-e-panah ke dimagh-e-falak-taz ko kha gai hai aur ab hukm-e-sarkar ho to kisi aur haiwan ka maghz le kar laga dun to dallak ne rakh diya daniyal-e-zamana ke sar mein kisi bail ka maghz le kar to logon ne dekha janab-e-wazarat-e-panah ab farasat mein danish mein aur karobar-e-wazarat mein pahle se bhi chaq-o-chauband-tar ho gae hain