dur tujh se ai watan ki sarzamin jata hun main jaane kyon tere chaman-zaron se ghabraata hun main tere phulon mein na pai main ne khushbu-e-wafa tujh se chhutna phir bhi hai mere liye sabr-azma ai watan aae tujhe shayad kabhi mera khayal teri nazron mein hain meri zindagi ke mah-o-sal aankh ko pur-nam na karna dekh meri yaad mein tu na thandi sans bharna dekh meri yaad mein chand dinon ke waste hona na tu andoh-gin ho na jae nam kahin gham ke pasine se jabin jaanta hun mujh ko dhundhegi teri fasl-e-bahaar bagh ki ranginiyan puchhengi mujh ko bar-bar muskuraate phul dohraenge mere nam ko tazkire ahbab farmaenge aksar sham ko chutkiyan legi dilon mein mere naghmon ki mithas shayad ab talab ki sari faza hogi udas gham ki mari man ko mera dhyan aaega zarur kya karun khud ho raha hun daman-e-rahmat se dur chhut raha hun us ki aaghosh-e-mohabbat se magar yaad us ki sath hogi aur duaen rahbar bad-guman hona na main rasm-e-wafa se dur hun chhod kar tujh ko na jata ai watan majbur hun