khirman-e-ehsas par bijli giraate jaiye ishq ke bedar shoalon ko bujhate jaiye jis ne bakhsha tha zamir-e-ruh ko raaz-e-hayat han usi andaz se phir gungunate jaiye barish-e-gham-ha-e-paiham se faza hai sogwar aap jate hain to dam bhar muskuraate jaiye ishq ke sine mein maddham ho rahi hai raushni ek zara is shama ki lau ko badhate jaiye kha raha hun phir fareb-e-kaenat-e-rang-o-bu ye naqab-e-wahm aankhon se uthate jaiye