ai watan ai rahat-o-aram ke dilkash dayar tere shahron par tasadduq tere sahra par nazar husn mein tu be-badal hai ishq mein tu la-jawab ram ki tujh mein jawani tujh mein sita ka shabab khet tere rashk-e-gulshan dasht tere lala-zar tujh ko bakhshi hai mashiyyat ne bisat-e-zar-nigar tujh mein hain aabaad daulat-mand bhi nadar bhi sim-o-zar ke ganj bhi hain ret ke ambar bhi ek hi saat mein to hai shad bhi nashad bhi tere chehre se ayan hai dad bhi fariyaad bhi hai kahin tu maskan-e-mazdur waqt-e-muflisi hai kahin sarmaya-daron ke liye jam-e-khushi azm-e-rasikh bhi hai tujh mein shaukat-e-dara bhi hai lashkar-e-jarrar ka tu afsar-e-ala bhi hai ai watan sab kuchh hai tujh mein ruh-e-azadi nahin kha raha hai tere bachchon ko ghulami ka yaqin ho rahi hain muslim-o-hindu mein khana-jangiyan gir pada bhaarat ke hathon se ukhuwwat ka nishan