dur kisi basti ki nim-tarik kothari mein ek tang chaarpai pe karahat-zada kokh se ghaib ki madad ko pukarti aadhi chikh pure jigar se par hui to nannhi chalai dil baith gae man ufuq ke par ja chuki thi riwayat ki qabr mein be-hisi ka kafan pahna ke use tahzib se dafn kar diya gaya aziyyat mein mubtala zehnon ko qismat ki goli de kar sula diya gaya aur wo nau-maulud bachchi apni janm-jali man se nahin kah pai dekh wirasat tera khun pine ke baad meri ek aur man khojne nikal padi hai