tum de gae ho bahut sari riwayaten rusumat ki shayad lazim tha tum ko mere muharrikat nazar-band kar dena magar mahsur ruhon ka soz-e-matam shigaf kar dena chahta hai zang-alud baktar ki dam ghonttin badkar hawaen riha kar den sahaif!! aur numayan ho nur-e-qadim ki jadd mere andhera bahut gahra hai dua karna
Please share if you liked this!!!