main bahut khush hun ki is darja mili daulat-e-gham itni daulat ki gini jae na rakkhi jae aur phir kis ko khabar us ki magar mere siwa us ka malik bhi nahin koi magar mere siwa aur daulat bhi ye aisi ki kahin besh-baha ek ek moti ka hai rang alag shan juda kyun na ho kitne hi salon ki kamai hai ye sirf meri nahin pushton ki kamai hai ye chhodi ajdad ne aulad ki bari aai aur aulad bhi aulad ko deti aai kuchh kami aai na us mein kisi mausam kisi sal be-hisab ho ke ye badhti rahi badhti hi rahi main bahut khush hun ki is darja mili daulat-e-gham mere ajdad mein bhi mujh sa na tha koi amir meri daulat ke muqabil hain wo sab log faqir main bahut khush hun ki is darja mili daulat-e-gham bhulta hi nahin main apni amiri ka ghurur mere ajdad amir aur main amir ibne-amir rashk se hae magar is pe mara jata hun ki na badh jae kahin rutba-e-aulad-e-amir rashk aata hai bahut un pe nasibe darad