kabhi in chidiyon se bhi puchhna hai tumhaara ghar kahan hai ye ghar hai kya ye ghar hai kab hua karta hai kis ka ye retire ho chuka hun main jo kahte hain wo college tha ghalat hain wo hai kab pahchan rishton ki hai kab pahchan jaghon ki wo mera ghar tha meri jaan wahi har roz ka jaana qataren kamron ki hotin bade kuchh aur kuchh chhote magar wo sare apne the main sang bachchon ke rahta tha bahut kuchh sikhta un se kabhi un ko sikhata bhi wo mera ghar tha mera haq tha us par ziyaada gar nahin to kam bhi kab tha abhi bhi sare kamre hain abhi bhi sare bachche hain magar wo haq nahin hai wo bas ab ghar nahin hai kahan jaun main unmen ab qataron mein hain kamre jaise the wo classon mein hain bachche jaise the wo hun main bas ghar se bahar sunai degi gar jaunga khud aawaz apni wahan bachche nahin honge han bas aawazen lautengi main dar jaunga wapas aaunga wo ghar nahin hai wahan ab mera koi haq nahin hai baras bite hain tab ye jaan paya dard kya hai hamari betiyan kyun yun tadapti hain jab un ki doli uthti hai unhen mahsus ho ye ab nahin ghar nahin hai haq koi in ka ab us par ye haq hai asl jo hai ghar ka malik agar haq hai to phir ghar hai nahin hai to patakh lo panw kitne nahin wo ghar tumhaara ab wo college ho ya maika! kahawat hai makin se hi makan hai ghalat main kyun kahun hoga magar mere liye aisa nahin hai hamesha se makan se hi makin jaana hon ye haalat apne khud ya phir hon betiyon ke wo yahi kadwa wo sach hai jo nigalna hai mujhe bhi betiyon ko bhi mujhe apni hi kadwahat se hai do chaar hona ab sadi biti hai aadhi jab chhina hai ek ghar mera milega dusra ab kab ikattha hi mile shayad dobara phir retire hun dobara ghar ka ho afsos ya phir ghar na hone ka