wo apne aansu ek nazuk hair dryer se sukhati hai jab us ki masnui palken us ka badan chhupane mein nakaam ho jati hain das nakhun-tarash us ke nakhunon ki dekh-bhaal karte hain wo bachchon ki tarah barte jaane se tang aa chuki hai pur-kashish badan ko milne wale tamghon ke darmiyan se wo machhli ki tarah tair kar nikal jati hai apne talwon ke niche wo gahrai aur drama chahti hai us ke baal shampoo ki shishi par likhi hui hidayat par sakhti se amal karte hain mahauliyati aaludgi ka khayal karte hue wo koi bosa nahin deti us ka takiya duniya ke tamam aashiqon ke aansu jazb kar sakta hai