main ne jab bhi palat ke dekha hai dhund kuchh aaine se chhuti hai aks kuchh aaine mein ubhre hain main ne dekha hai ek shikasta par zindagi se tamam-tar aari jaise mazi ho! ahd-e-rafta ho ek na-sufta gauhar-e-shaffaf jaise ek aaftab-e-taza ho roz-e-ainda, roz-e-farda ho ek shahin-e-mawara se pare ek nikhri hui faza-e-basit haal ho jaise ahd-e-hazir ho! dhund phir aaine se lipti hai aks dhundla sa main ne dekha hai pech-dar-pech jal makdi ka! ujla ujla sa, wo rupahla sa jis ke taron mein maut pinhan hai ek makkhi hai nim-jaan majbur jaane kis daur ka ye khaka hai! jaane kis daur ke tasawwur se dil mera kanp kanp jata hai