main kaise bataun wo arsa jo duri mein guzra huzuri mein guzra main us ki wazahat nahin kar sakunga sar-e-sham hi koi la-shakl kut mujhe apne narghe mein rakhti maza leti mere namak ka kabhi meri shirini chkhti kabhi mujh ko qatre kabhi mujh ko zarre mein tabdil karti kabhi mujh ko haiat mein lati kabhi meri haiat ko tahlil karti adhura samajhti kabhi mujh ko pura samajhti usi gomago mein mujhe tod deti meri tukdiyon ko milati mujhe jod deti main kaise bataun ki jo kaifiyat mujh pe guzri asatiri hargiz nahin thi kisi dew-mala se sa ga se ja tak kahani se us ka ilaqa nahin tha kisi khwab ka ye waqua nahin tha na ye wahima tha jise aql tashkil deti hai hairat ka warta hisar-e-nafas ya nazar ka karishma koi warida pas anfas tanwim ya mismirism koi habs-e-dam jazb-o-masti kisi sant-sadhu ki shakti kisi sufi salik ka ilham sarsam wahshat ki lai wajd ya haal si koi shai ek shishe ke andar koi chiz burraq parde pe raqsan si fanus-e-gardan si taswiri hargiz nahin thi asatiri hargiz nahin thi main kaise bataun ki jo kaifiyat mujh pe guzri main us kaifiyat mein dobara kisi taur shirkat nahin kar sakunga wo arsa jo duri mein guzra huzuri mein guzra main us ki wazahat nahin kar sakunga