bans ki konpalon ki tarah raat ki raat badhti hui ladkiyo aaine ke har ek zawiye se ulajhti hui ladkiyo tasht-e-simab jhalkati jhukti hui ladkiyo nit-nae mausamon ki tarah mujh pe biti hui ladkiyo mere hone ko taslim kar lo to aage badhin khwab-dar-khwab bas ek hi khwab hai mere hone ka khwab bhagte raston mein koi sang raftar-paima bata de ki main chal raha tha bhid mein chalte chalte achanak koi mujh ko kahni se aage badha de ki main rahnuma tha koi fan ki dewi surayya se utre mujhe apne andar samo le koi meri aankhon mein chubhte hue zarra-e-reg ke waste apne aanchal ka kona bhigo le mujhe rishta-e-jism-o-jaan mein piro le koi bas ghadi-do-ghadi sath ho le ya mujhe qulzum-e-khud-faramoshi-e-mawara mein dubo le khwab-dar-khwab bas ek hi khwab hai mere hone ka khwab sanwli ladkiyo champai ladkiyo nit-nai ladkiyo mere hone ko taslim kar lo to aage badhen kaun jaane darakhton ke pichhe nai khushbuen raste bhar hamara swagat karen kaun jaane ki aahat se darti hui fadfadati hui fakhtaen hamare suron par sipar tan den aur hum sarsaraate hue aanchalon ki hua odh kar so rahen ya meri jaan-e-jaan kaun jaane ki aate dinon mein kisi roz andhi sadak par kisi chikhte bhunkte kale kutte se darte hue hum achanak kahin aa milen ajnabi raston ki taraf chal paden zehn mein khwab ka silsila phailta ho aankh mein nind ka zaiqa tairta ho bahar-taur aasudgi hai aur kohre ki chadar aur sileti parindon ki manind sahil ko tarik karti hui sham hai aur yakh-basta gahri daraden aur marmar ke bhaari sutunon se lipti hui ladkiyan hain aur fasilon ke us par tatar-o-taimur ka khauf hai aur us par talwar aur khanjar uthae hue ahlakaran-e-afwaj bedar hain palki nalki aur kahaaron ki aawaz bibi hato ab ke barish ne mehndi ke pedon ki sari hina chhin li hai main ki be-chehra jismon ke jangal mein hone ka ek khwab le kar chala tha so ab sar-ba-zanu pada hun sanwli ladkiyo champai ladkiyo nit-nai ladkiyo is gadagar ke kashkol ki sansanahat suno mere hone ka matam karo apne hone ka matam karo aur har aate-jate musafir se ro kar kaho shahr mein khairiyat ke siwa kuchh nahin hai