wo aurat

main ne us aurat ka jism bistar-band mein lapet diya
bistar-band ko railway station ke mal-godam mein rakhwa diya

saman ki rasid ko apni billi ke dudh mein dal diya
jo us kaghaz ke sare lafz chat gai

main ne kamre mein bikhra lahu samet kar
dilhanon ki mang mein bhar diya

us ke kapde chhithde bana kar
mazaron ke darakhton par bandh diye

ki un ke gird phera lagane wali banjh auraton ke pet mein phul ugen
us ka nam shahr ke darakhton ke tanon par khod diya

ki mausamon ki hawaen har dafa use chumti rahen
aur darakhton ki khaal waqt ke sath us par hijab le aae

us ke sath guzra waqt, taswiren, yaaden
ek sanduq mein band kar ke godam mein rakh din

ki waqt in ko dimak ki tarah chat jaega
kamre mein pada cleopatra ka but us ki aur madonna ki taswir

bori mein band kar ke dariya mein phenk diye
zehn ki tape se us ka har naqsh

nakhunon se khurach diya
hathon ko dettol se dho diya

kya mujhe us se bahut mohabbat thi?


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close