samajhna chahiye majburiyan ahl-e-chaman ko sabz belon ki numu muhtaj hai jin ki hamesha ek sahaare ki darakhton ke tane diwar phatak ya munderen hon panapti hain sahaaron par to ye sarsabz rahti hain sahaare chhut jaen gar to phir jine ki majburi kisi nemul-badal ko dhund leti hai wagarna un ki shadabi khizan ki nazr hoti hai mohabbat uns chahat bhi inhin kamzor belon ke mushabah hain unhen bhi ham-nawaon ham-nashinon ke sahaaron ki zarurat hai sahaara chhut jae to unhen bhi zinda rahne ke liye nemul-badal darkar hota hai nahin to bin sahaare dosti rishte marasim uns chahat aur talluq ki ye komal sabz belen sab khizan ki nazar hon aur waqt se pahle hi mar jaen