wo baat gai ab raat bhari barsat barasti jhadi ki tap-tap rag nahin jo aur lipat kar sunen muamme bhed labon ke phul machal ke khilen lahakti aag pe thandi barf nashile barf pahron katen ab chand ki chham-chham lahar chamakte shauq umadte sail ka nasha nahin ki jis ki khoj mein sukhi ret pe milon raat gae tak chalen ab khauf pareshan zulf dar-o-diwar pe larzan sae mein jaise reng raha hai umr guzar gai jaanan