baadal ke pardon se tahdar kuhron mein duba hua nur lipta hua subh ki awwalin dudhiya chhanw mein ek jhalak aasmanon ki wusat ki rim-jhim tapakti hui jhil ki pur-sukun sath par tairti yun laga jaise meri pahunch mein yahin aa gai sath-e-jaan se uthi ye dua us hasin lamha-e-sahar-agin main khushiyon se bhar de mere dil ki gahraiyon ko to aawaz aai ki daman badha aur jab dil ko wa kar diya main ne tab apni kam-maigi pe bahut gham hua