wo baat agar main khuda se kahta main jaanta hun wo sun bhi leta (jawab dene ki koi miad tai nahin ho to sirf sunne mein harj kya hai) main manta hun jawab wo ek roz deta pa khwahishon ne meri samaat ko mo'tabar hi kahan hai rakkha ye khwahishen hain ki mere kanon mein rui sa kuchh nihan hai rakha main sochta hun wo baat agar main khuda se kahta to maslahat ka shikar hoti fuzul be-e'tibar hoti main maslahat ka nahin mukhalif pa jaanta hun kisi bhi shai ke har ek pahlu pe ghaur hoga to maslahat ka shikar hogi talash-e-har-e'tibar be-e'tibar hogi main chahta hun ki mashwara bhi karun kisi se pe aql-e-insan (aql-e-nsaqis) har ek pahlu pe ghaur khud ek mazhaka hai yahan se aage jo marhala hai wo fahm-e-insan se mawara hai khayal aata hai akasr akasr khalifatul-arz hun isi sath par jo suljhaun baat ko main magar khilafat ko kya wilayat mili hui hai mazid ye kya awam o ashraf ki himayat mili hui hai agar nahin to ye juzw-e-afkar kis liye hai ye fikr-e-be-kar kis liye hai wo baat yun aham hai ki mere wajud mein runuma hui hai wajud ki ek bina hui hai wo baat mujh se juda nahin hai wo baat sach hai wo mahz ek marhala nahin hai wo baat main hun main khud ko zae nahin karunga