wo nau-khez nura wo ek bint-e-maryam wo makhmur aankhen wo gesu-e-pur-kham wo arz-e-kalisa ki ek mah-para wo dair-o-haram ke liye ek sharara wo firdaus-e-maryam ka ek ghuncha-e-tar wo taslis ki dukhtar-e-nek-akhtar wo ek nurse thi chaara-gar jis ko kahiye madawa-e-dard-e-jigar jis ko kahiye jawani se tifli gale mil rahi thi hawa chal rahi thi kali khil rahi thi wo pur-roab tewar wo shadab chehra mata-e-jawani pe fitrat ka pahra meri hukmarani hai ahl-e-zamin par ye tahrir tha saf us ki jabin par safed aur shaffaf kapde pahan kar mere pas aati thi ek hur ban kar wo ek aasmani farishta thi goya ki andaz tha us mein jibrail ka sa wo ek marmarin hur khuld-e-barin ki wo tabir aazar ke khwab-e-hasin ki wo taskin-e-dil thi sukun-e-nazar thi nigar-e-shafaq thi jamal-e-nazar thi wo shoala wo bijli wo jalwa wo partaw sulaiman ki wo ek kaniz-e-subuk-rau kabhi us ki shokhi mein sanjidgi thi kabhi us ki sanjidgi mein bhi shokhi ghadi chup ghadi karne lagti thi baaten sirhane mere kat deti thi raaten ajab chiz thi wo ajab raaz thi wo kabhi soz thi wo kabhi saz thi wo naqahat ke aalam mein jab aankh uthti nazar mujh ko aati mohabbat ki dewi wo us waqt ek paikar-e-nur hoti takhayyul ki parwaz se dur hoti hansati thi mujh ko sulati thi mujh ko dawa apne hathon se mujh ko pilati ab achchhe ho har roz muzhda sunati sirhane mere ek din sar jhukae wo baithi thi takiye pe kuhni tikae khayalat-e-paiham mein khoi hui si na jagi hui si na soi hui si jhapakti hui bar bar us ki palken jabin par shikan be-qarar us ki palken wo aankhon ke saghar chhalakte hue se wo aariz ke shoale bhadakte hue se labon mein tha lal-o-gohar ka khazana nazar aarifana ada rahibana mahak gesuon se chali aa rahi thi mere har nafas mein basi ja rahi thi mujhe lete lete shararat ki sujhi jo sujhi bhi to kis qayamat ki sujhi zara badh ke kuchh aur gardan jhuka li lab-e-lal-e-afshan se ek shai chura li wo shai jis ko ab kya kahun kya samajhiye behisht-e-jawani ka tohfa samajhiye sharab-e-mohabbat ka ek jam-e-rangin subu-zar-e-fitrat ka ek jam-e-rangin main samjha tha shayad bigad jaegi wo hawaon se ladti hai lad jaegi wo main dekhunga us ke bipharne ka aalam jawani ka ghussa bikharne ka aalam idhar dil mein ek shor-e-mahshar bapa tha magar us taraf rang hi dusra tha hansi aur hansi is tarah khilkhila kar ki sham-e-haya rah gai jhilmila kar nahin jaanti hai mera nam tak wo magar bhej deti hai paigham tak wo ye paigham aate hi rahte hain akasr ki kis roz aaoge bimar ho kar