aaj sawere aaftab aane ke baad mujhe mere kal ke pahne pant ki jeb par ek khun se lat-pat rumal mila sath mili kuchh sukhi hui nazmen jo kal shab main ne likhi thi in sukhi nazmon ko takiye tale rakh kar main ne kal ka waqia yaad kiya kuchh dhudli si thi is waqiye ki taswir mere zehn par ya yun kahun main is waqiye ko saf dekhna nahin chahta tha kal shab main ne is taza lash ko hath jo lagaya tha kal shab us lash ke khun ka surkh qatra mere rumal par jo laga tha kal shab kuchh raqibon ne us ka qatl jo kiya tha kal shab wo behad azim shandar shajar mera tha kal talak jo deta tha apni chhanw ka shamiyana aaj wo pada tha la-waris sa wo be-jaan shajar