main ne kaha ye mulk ek hai to sab ke liye ek sa ho qanun to unhonne kaha ki main firqa-parast ki tarah bolta hun main ne kaha ki mandir masjid se ziyaada zaruri hai talim har insan ko aur har pet ko roti to unhonne kaha ki main nastik sa ishwar ko zarurat mein tolta hun main ne kaha ki tum hum ne chune ho to hamara wikas karo na sirf apni tijoriyan bharo to unhonne kaha ki main be-wajh raaz kholta hun main ne kaha sara mulk ek hai bas kuchh din mein badal denge mil kar hum sara nizam wo kuchh nahin bole ab bas hanste rahe meri baat aur mere khayalat par ab wo sab zor se hans rahe hai aur mere panw jaise dharti mein dhans rahe hain main jaanta hun ki wo sare mulk par hans rahe hain