wo hansti hai to uske hath rote hain

kisi ke baad
apne hathon ki bad-surati mein kho gai hai wo

mujhe kahti hai 'tabish'! tum ne dekha mere hathon ko
bure hain nan?

agar ye khubsurat the to in mein koi bosa kyun nahin thahra
ajab ladki hai

pure jism se kat kar faqat hathon mein zinda hai
surahi-dar gardan narm honton tez nazron se wo bad-zan hai

ki in apnon ne hi us ko sar-e-bazar phenka tha
kabhi aankhon mein dubi

aur kabhi bistar pe silwat ki tarah ubhri
ajab ladki hai

khud ko dhundti hai
apne hathon ki lakiron mein

jahan wo thi na hai, aainda bhi shayad nahin hogi
wo jab ungli ghuma kar

'faiz' ki nazmen sunati hai
to is ke hath se pure badan ka dukh jhalakta hai

wo hansti hai to us ke hath rote hain
ajab ladki hai

pure jism se kat kar faqat hathon mein zinda hai
mujhe kahti hai 'tabish'! tum ne dekha mere hathon ko

bure hain nan?
main shayad gir chuka hun apni nazron se

main chhupna chahta hun us ke thaile mein
jahan cigarette hain machis hai

jo us ka haal mazi aur mustaqbil!
ajab ladki hai

aae to khushi ki tarah aati hai
use mujh se mohabbat hai

ki shayad mujh mein bhi bad-surati hai us ke hathon ki!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close