ek ajib sa jangal hai is shahr ke bich ug aaya ghana muhib aur gahra jis ki khub ghaneri chhaya yun lagta hai jaise mere bhitar ka ek saya ek din pahle kahin nahin tha aisa sabz andhera unchi shakhon ki parton ka gumbad jaisa ghera dekhun phir hairan rahun is shahr mein aisa dera kanton wale zahar bhare bal khate shakhche aage pichhe hatte jaen raste jangal jaise bhage jis bhi rukh par panw dharun us dil mein dar sa jage mere pair ke niche se ek shakh nai ug aae tum tak jata har ek rasta aise rukta jae kyun kar mujh ko milne den phir khauf ke bojhal sae