jo bar-awar nahin hota wo lamha kaisa hota hai jo rang-o-khusbuon ke aabgine tod deta hai jo yaadon ki khuli aankhon ko apne sard hathon ke asar se mund deta hai jo din ki raushni mein shab ki aamezish se aisi saaten takhliq karta hai jo aasuda hi hoti hain na afsurda hi hoti hain kabhi hansti kabhi be-tarah roti hain jo rasta khojti aur manzilon ko bhul jati hain jo zinda hain na marti hain jo darti hain ada-e-waqt se rukti na chalti hain fasil-e-be-yaqini par rakhi shamon ki surat aas mein bujhti na jalti hain jo aisi saaten takhliq karta hai wo lamha kaisa hota hai kisi padash ki takmil ka hissa ki harf-e-katib-e-taqdir hota hai