wo jo shaer tha, chup sa rahta tha bahki bahki si baaten karta tha aankhen kanon pe rakh ke sunta tha gungi khamoshiyon ki aawazen! jama karta tha chand ke sae gili gili si nur ki bunden ok mein bhar ke khadkhadata tha rukhe rukhe se raat ke patte waqt ke is ghanere jangal mein kachche pakke se lamhe chunta tha han, wahi, wo ajib sa shaer raat ko uth ke kuhniyon ke bal chand ki thodi chuma karta hai!! chand se gir ke mar gaya hai wo log kahte hain khud-kushi ki hai