phir teri titli-numa surat mujhe yaad aa gai mujh ko wo lamha abhi bhula nahin ek kone mein kai logon ke sath guftugu mein munhamik khoya hua meri aaankhon ne kabhi tujh sa koi dekha na tha main tujhe takne laga der tak takta raha aankh se kanon se honton se tujhe takta raha kya ajab diwangi thi rashk aaya bakht pe apne mujhe lafz ke asrar mujh pe wa hue ghantiyan si mere kanon mein bajin nur ke sailab mein dubi hui is sham ki ek ek saat tere ham-rah hai ruk gaya hai waqt is ek mod par main judai ke liye majbur tha tu judai par jahan masrur tha