wo mujh se kahte hain muskura do hua hai jo kuchh use bhala do main un se kah dun ki ab ye mumkin nahin raha hai wo ranj-e-hasti ki zahr ban kar mere lahu mein sama chuka hai mere tasawwur mein bas chuka hai wo mujh se kahte hain muskura do hua hai jo kuchh use bhula do main raat-din ki udhadpan mein wo kirchiyan bhi samet lungi jo meri aankhon mein chubh rahi hain jo meri sanson ko das rahi hain mujhe yaqin hai ki kanch ka ye hasin dhoka fareb ka be-karan sarapa zara si aahat se gir padega wo mujh se kahte hain muskura do hua hai jo kuchh use bhula do suno ye mumkin nahin ruba ab ki mera dil mera khush-nazar dil koi tasalli nahin sunega koi hawala nahin sunega main jaanti hun ye mera wahshi udas dil hai jo tujh se mujh se alag thalag hai use mitana nahin hai mumkin use to jangal ki aas hai ab talash yaado ki bas hai ab mujhe to hairat si ho rahi hai wo mujh se kahte hain muskura do