sans roke hue is shahr se guzri hai hawa kuchh to kahti hai faza raat ke diwanon se khali sadkon pe bahut shor hai sannate ka git likkhe hain khamoshi ki madhur tanon se mere ahbab mujhe kahte hain ai jaan-e-aziz tu yahan tanha andheron se ulajhta kya hai shahr mein saf si bichhi hai bujhe angaron par tu faqat rakh ke ambar ko takta kya hai aao hum mil ke manaen shab-e-khamoshi ko bujh gaya dil to hua kya abhi binai hai khali nazron se taken tute hue taron ko apne khwabon pe pasheman shab-e-tanhai hai sans roke hue is shahr se guzri hai hawa