wo ek nannhi si pyas jis ne sarab-e-sahra ki dastanon ko apne khun se raqam kiya tha jafa ke tiron ko kham kiya tha wafa ki aankhon ko nam kiya tha buland haq ka alam kiya tha wo pyas karwat badal rahi hai ab apne pairon se chal rahi hai wo pyas bachpan mein jis ne saton samundaron ka safar kiya tha wo pyas jis ki khamoshiyon ne sada-e-dariya ko sar kiya tha wo pyas jis ne sitamgaron ka sukun zer-o-zabar kiya tha sitam ke aiwan mein aa gai hai