to ye bhi hoga

ye sare rishte tamam chehre
jinhen tum apna samajh rahe ho ye sab tumhein ajnabi lagenge

bulandiyon ke har ek safar par badi mohabbat
jataega ye hujum-e-yaran

sabhi ke lafzon mein shahd hoga sabhi ke hathon mein phul honge
magar dilon mein babul honge

bulandiyon ke safar se lauto to un ke chehron pe ghaur karna bujhe bujhe se tum un ke lahjon pe ghaur karna tamam chehre malul honge
har ek sukhan mein chubhan milegi

har ek sada mein thakan milegi
har ek jabin par shikan milegi

rafaqaton ke badalte manzar tumhein jo hairat-zada karen to ye ghaur karna
masafaton ke baghair aakhir badan sabhi ke nidhaal kyon hain

baghair khatt-e-uruj khinche
ayan ye khatt-e-zawal kyon hain

safar to tum ne kiye hain lekin musafirat ki ye gard kaise tamam aankhon mein bhar gai hai tamam chehron pe jam gai hai
pas-e-rifaqat badalte rishton ki manawiyyat pe ghaur karna magar na hargiz udas hona tum un se milte rahe ho jaise tum un se waise hi milte rahna hamesha un se wafaen karna aur un ke haq mein duaen karna

khuda unhen bhi hidayaten de azal se ab tak yahi hua hai munafiqon ne hamesha honton pe gul khilae hamesha hathon mein phul rakkhe magar dilon mein babul rakkhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close