wote dijiye

aae hain hum bhaiyo muzhda sunane ke liye
aap ke haalat ko behtar banane ke liye

aap puchhenge kahan ghaeb rahe hum panch sal
kya bataen aap ki furqat mein tha kya apna haal

kya bataen kis qadar tute pahad aalam ke
aah hum mare hue hain gardish-e-ayyam ke

aap hi ke gham mein ghulte ghulte mote hum hue
panch barson mein ye dheron gham na lekin kam hue

is liye aae hain phir tigdam ladane ke liye
sabz bagh ek bar phir sab ko dikhane ke liye

aa gaya phir ek naya daur-e-election aa gaya
doston ka dost aur dushman ka dushman aa gaya

wote de kar phir banaen aap hum ko kaamyab
taki kante aap ko den aur khud chun len gulab

waqt ke mare hue kursi se sarkae hue
aap ke dar par hain aae hath phailae hue

hum ne mana ta-kamar dube hue kichad mein hain
bhediya samjhen na hum ko aap ke rewad mein hain

shar pe ab mail nahin hain aap ke gham-khwar hain
qaum ki kashti ki ek tuti hui patwar hain

daen baen chamche apne aage pichhe car hai
de diya gar wote to phir apna beda par hai

wote dije wote dije wote hi darkar hai
tanz karta hai kare 'asrar' na-hanjar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close