yaad-e-mazi

zindagi ke siyah kamre mein
biti yaadon ke chand jugnu hain

jo musalsal tasalliyan de kar
mujh ko samjha rahe hain barson se

sirf pana hi shart ishq nahin
ishq to wo azim markaz hai

jis mein har shai se pyar hota hai
jis mein khona bhi ek ibaadat hai

aur jab jab ye baat sun kar ke
main zara bhi udas hota hun

to meri kothari ka har kona
tiktiki sa lagae dekhe hai

goya mujh se wo kah raha ho ye
yaad-e-mazi azab hai lekin

waqt-e-tanhai yaad ke jugnu
tujh ko ye raushnai dete hain

maslahat ye hi dar-haqiqat hai
jo bhi hai rab ki bas inayat hai

main bhi kuchh muttafiq hun ab un se
waqt-e-tanha siyah kamre mein

yaad-e-mazi ki raushni ke sabab
main ye tanhai jhel sakta hun

apne ashkon se khel sakta hun
aur un sab tamam baaton se

ab natija yahi nikalta hai
yaad-e-mazi bhale azab sahi

yaad-e-mazi khuda ki rahmat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close