kabhi tumhaara chehra aaina tha jis ki lakiron ka tumul nad dukh ke pahadon sa meri bhitri nadi ke thapedon se takra kar galta tha dard ris-ris kar hota jata tha dipt dinon din aaj bhi wahi chehra hai wahi lakiren hain wahi dukh hain wahi pahad hain dost nahin hai to bas wo bhitri nadi jis ne dukh ke pahadon ko gala diya tha dard ko dipt di thi tumhaara chehra ab bhi aaina hai dost meri nadi hi sukh chali hai