in shandar mahlon ko kya karun main le kar lagta nahin hai mera dil aah in mein dam bhar in mein nahin hai meri dil-bastagi ka manzar dil kash kahin hai is se ujda hua mera ghar mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara hain barkaten utarti jis ghar mein aasman se pyara hai aah wo ghar mere liye jahan se ai ghar siwa hai dil-kash to rauza-e-jinan se han tu aziz-tar hai mujh ko hazar jaan se mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara aawara-e-watan hun gum-karda-khanuman hun sahra mein muddaton se mein gard-e-karwan hun ro ro ke aah karta misl-e-jaras fughan hun ghurbat mein main ragadta barson se ediyan hun mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara tha chhoti chhoti chidiyon ko main jahan bulata aur git tha khushi ke maqdam mein un ke gata wo ghar mein thin chahakti main ghar mein gungunata tanen sunati thin wo main loriyan sunata mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara