khelta tha jab ladakpan se tera rangin shabab hat rahi thi mah-e-alam-tab ke rukh se naqqab zindagi thi husn-e-nau aaghaz ka rangin khwab yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai jab ki saz-e-zindagi naghmat se mamur tha zarra zarra mere dil ki khak ka jab tur tha main akela hi nahin sara jahan masrur tha yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai khelti thi naujawani jab ki banhon mein teri zindagi ki barishen thin jalwa-gahon mein teri raqs karti thin tamannaen nigahon mein teri yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai har ada-e-husn par hota tha dil jab be-qarar jab raha karta mulaqaton ka baham intizar jab tabiat tujh se milna chahti thi bar bar yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai raat bhar sone na deti thi masarrat id ki jabki rahti thi dilon mein be-qarari did ki mahtab-e-id bin jati kiran khurshid ki yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai raat aati thi sunane soz ka paigham jab mashq-e-tahrir-e-junun banta tha tera nam jab tha na kuchh pesh-e-nazar is ishq ka anjam jab yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai