sham ki rakh mein luthdi hui dhalwanon par ek rewad ke thake qadmon ka maddham aahang jis ki har lahar dhundlakon mein ludhak jati hai mast charwaha chara-gah ki ek choti se jab utarta hai to zaitun ki lanbi sonti kisi jalti hui badli mein atak jati hai bakriyan dasht ki mahkar mein gundha hua dudh chhagalon mein liye jab raqs-kunan aati hain koi chudi kham-e-dauran pe chhanak jati hai jast bharti hai kabhi aur kabhi chalte chalte nachti dar mimakate hue buzghaalon ki har jhuki shakh ki chaukhat pe thithuk jati hai san par lakh chhuri sikh pe sad-para gosht phir bhi madhosh ghazalon ki ye toli hai ki jo bar bar apne khat-e-rah se bhatak jati hai sham ki rakh mein luthdi hui dhalwanon par khelti hai gham hasti ki wo shadan si umang jis ki rau waqt ki pahnaiyon tak jati hai