ab bhi darwaza roz khulta hai rasta mera tak raha hai koi mere ghar ke udas manzar par koi shai ab bhi muskuraati hai meri man ke safed aanchal ki thandi thandi hawaen roti hain fasla aur kitni tanhai aaj katti nahin hain ye raaten aasman mujh pe tanz karta hai chand taron mein hoti hain baaten ai watan tere murgh-zaron mein mere bachpan ke khwab raqsan hain mujh se chhut kar bhi wadiyan teri kya usi tarah se ghazal-khwan hain