main os ban ke baras jaun tere sabze par main git ban ke teri wadiyon mein kho jaun bas ek bar bula le mujhe watan mere ki teri khak ke daman mein chhup ke so jaun shagufta ghas mein ye zard zard nanhe phul na jaane kis liye pagdandiyon ko takte hain unhen khabar hi nahin un ko chunne wale aaj gharon se dur kisi camp mein sisakte hain kai gharanon ki fariyaad is mein dub gai ab is kunen pe na aaegi koi panhaari kisan khet na sinchenge aise pani se hari na hogi use pi ke koi phulwari yahin nadi ke kinare ise dabaya tha magar shabanon ko wo barha nazar aai hati jo ret to chamka wo chand sa matha chali hawa to wo resham si zulf lahrai main tere panw padun hath rok le qatil use na mar jo teri taraf humakta hai ye tegh ko bhi khilauna samajhne wala hai ye lal phenk ke angara chus sakta hai kaha kisi ne ki wo jald laut aaenge kaha kisi ne ki ummid ab bahut kam hai ilahi dubte dil ko zara sahaara de mere charagh ki lau aaj kitni maddham hai niboli nim ki pakki ab aaega sawan magar ye git use aah kaise yaad aaya wo apni man se lipat kar na ro sakega kabhi na sar pe hath kabhi rakh sakega man-jaya suna hai nind mein wo chaunk chaunk padte hain lahu ke dagh the jin par wo hath jalte hain padosiyon se ye kah do wo mishalen rakh den ki ek ganw ke ghar sath sath jalte hain ilahi sham ab is ganw mein na aane pae ki is ke aate hi dukhiyaen mil ke roti hain darinde apne bhaton mein dahalne lagte hain hawaen koh se takra ke jaan khoti hai diye ke waste nanhe panah-gir na ro falak pe dekh wo qindil-e-mah raushan hai isi faza mein mere chand tu bhi ubhrega jo tu hai sath to ghurbat ki rah raushan hai tilai ghas se wadi mein tha talatum sa hawa mein narm shuaon ki sarsarahat thi naya tha chashma-e-mehr aur naya tha rang-e-siphar har ek goshe mein lekin ajal ki aahat thi hawa ne dip bujhaya hi tha ki nikla chand qalam ko tez chalao ki ye bhi dub na jae khud apne dil ke ujale ka e'tibar nahin ki ek bar ye jae to phir palat ke na aae ye chandni ka ujala ye nim-shab ka sukun safed gumbad-o-dar dudh mein nahae hue sitaro koi kahani kaho ki raat kate na yaad aaen mujhe roz-o-shab bhulae hue