yaad karte rahe aah bharte rahe roz jite rahe roz marte rahe apne jazbaat ko qatl karte rahe aur patthar ke hum ek sanam ho gae zakhm hijrat ka teri mere dil pe hai ruh tufan mein hai jism sahil pe hai qatl karne se pahle badal jaega hum ko ab bhi bharosa ye qatil pe hai zindagi saz hai pyar sangit hai pyar ki haar bhi pyar ki jit hai pyar mein haarte pyar mein jitte pyar ke git kah hum qalam ho gae main ne qudrat ke rangon mein dhundha tujhe main ne sheron mein teri kahani likhi sher mein bas tumhaara nazara kiya din mubarak likha shab suhani likhi sab hain apne yahan koi duja nahin pyar sajda bhi hai sirf puja nahin hum azan ban ke gunje tumhaare liye aur hamare liye tum bhajan ho gae hum tumhaare hue tum kisi ke hue koi mera hua zindagi ke liye kuchh na jaane hue kuchh na samjhe hue jaan deta hai meri khushi ke liye ai muqaddas khuda tu use shad rakh us ki khushiyan ghar us ka tu aabaad rakh us ko har gham se maula tu aazad rakh us pe ab tak bahut se sitam ho gae