wo naghme wo manazir wo bahaaren yaad hain mujh ko yahi wo naqsh hain jo mit nahin sakte mitane se wo raaten aur wo sawan ki phuwaren yaad hain mujh ko yahi afsane aksar kahta rahta hun zamane se wo tera muskura kar chand ko tabindagi dena sharab-e-ishq se makhmur ho jaana fazaon ka wo teri mast aankhon ka nawed-e-zindagi dena wo aksar khelna zulf-e-pareshan se hawaon ka mera dil ho gaya hai gardish-e-ayyam se waqif buland-o-past aalam phir rahe hain meri aankhon mein mazaq-e-dil-bari hai ishq ke paigham se waqif tasawwur hai mera khoya hua sa teri aankhon mein tu mujh se dur hai lekin tujhe main yaad karta hun na jab fariyaad karta tha na ab fariyaad karta hun