suno, suno, aansuon ki aawaz ruh ko apne dukhte hathon se chhu rahi hai khizan-zada khushk patiyan hain jo sath-e-ab-e-rawan pe ruk ruk ke gir rahi hain wo sath-e-ab aaina hai jis mein guzishta lamhon ke malgaje naqsh ubhar rahe hain in aaina-rang aansuon mein har aarzu har khayal har yaad ek taswir-e-be-kasi hai shafaq ke bujhte alao mein rakh ki tahen rakh mein sharare ye kis ke aansu hain kaun chup-chap ro raha hai udas shab ki siyah aankhon mein dabdabaate hue sitaron se main ne puchha magar tajjub-zada mujhe dekhte rahe wo hawaon ki siskiyon se puchha wo apna daman samet kar mere pas se kapkapa ke chal din magar ye aansu lahakte lamhon ke aaine hain in aansuon mein har aarzu har khayal har yaad phir se aabaad ho gai hai damakte aansu ye qumqume jin se shab ki tarikiyan ujale in aaina-rang aansuon se nazar milao mujhe na dekho ki meri aankhon mein to koi aaina nahin hai suno suno aansuon ki aawaz sare aalam pe chha rahi hai magar main kab se taras raha hun ki meri pathrai khushk aankhon se bhi kuchh aansu ubharti lahron ki tarah ubhren aur un ki hiddat mein dhal ke bah jae mere sine ka dard-e-sangin